101 Blog Topic Ideas


Source :
BETTERCREATOR.COM           BY DEEPAK SINGH RATHORE


Second Part



51. Gardening Blog – ghar me aloe vera kaise lagaye, rose ke paudhe ki dekhbhaal kaise rakhein

52. Spirituality & Law of Attraction Blog – khush kaise rahe, gratitude journal kaise banaye, law of attraction kya hota hai, Vision board kaise banaye,

53. Photography – photoshop training, video editing, image editing ke tips yahaan de sakte hain, mobile photography kaise kare, mobile par video film kaise banaye etc.

54. Android App Development – android app kaise banaye, android app se rupaye kaise kamaye, kaunsa platform best hai

55. Reality TV – All about Reality shows on TV, about their audition dates, audition procedures, latest news gossips eliminations about Contestants etc.

56. TV Shows Blog – Running Tv shows se related news, kahaani me aage kya hone wala hai jaise news channel par show aate hain – Saans bahu aur saajish, saans bahu aur betiyan usi tarah ek blog

57. Born Today – List of People born today for all days of the year.

58. Shayari/Jokes/SMS – But jo latest ho wahi kare, nahi to purane wale already kisi ne apne blog par daal dia hoga aur apka duplicate content hone ke kaaran Google Ads approve na kare

59. Dancing Tips – ise youtube channel ke saath kare

60. Guitar Lessons – ise youtube channel ke saath kare

61. Government Schemes Information – Sarkar ki jo bhi nayi scheme aa rahi hai uske upar pura detail blog

62. Luxury Blog - Ameer log kaise rhte hain, kahaan ghumte hain, ameero ki networth, unke wealth ke bare me articles

63. Entertainment – Celebrity Gossips, New Movie Launch Details and related news

64. Body Building – Exercises, Diet Plans, Fitness & Exercise of Celebrities, Upper body strength ke liye kaunsi exercise best hai, legs ke liye best exercises, Vitamins aur Supplements ke reviews etc.

65. Windows Help & Advice – Windows operating system se related jo bhi error hai ya technical tricks and tips hai uske upar

66. Women Blog – successful women biography, women problems and solutions, news related to women etc.

67. Foreign Education – videsh se padhai kaise kare, university ke liye kab kaise apply kare, kya procedure hai, naye forms ke updates, kaunsi acchi university hai kisi particular course ke liye

68. Gulf Details – Dubai me jaa kar kaise kaam kare, kaise visa milta hai, kaun si companies acchi hain, kahaan rahe, naye job ki vacancies etc.

69. Book Summaries/Lessons – Acchi Kitabon ki summaries aur notes apne shabdo me

70. Gift Ideas Blog – Birthday par kya gift de, teacher’s day par teacher ko kya gift de, girlfriend ko pehli date par kya gift de, wedding aur anniversary par kya gift de, retirement par kya gift de, promotion party par kya gift de, new born baby ki party me kya gift de etc.

71. Indoor Games, Fun Challenges & Activities – Alag alag games jo log apne bhai behen, cousins ke saath khel kar time pass kar sakte hain. Example – Antakshri, Carom Board, Business, Ludo & Snakes, Book Cricket , Truth or dare, Dumb Charades etc.

72. Adventure Lovers Blog – trekking kahaan kare, kaise kare, camping and hiking karne kahaan jaye, bungee jumping kahaan kare, river water rafting kahaan kare etc.

73. Home Product Reviews – jo bhi aap samaan kharidte ho uske upar detail review, cooler kharida to uska review, Patanjali Noodles Vs Maggi Noodles Review, best Toilet Cleaner, best detergent powder, Online shopping site ka review – kaunsa aapko accha lagta hai aur kyun

74. Money Saving Blog – Frugal Living, Kam rupaye me kaise rhe (reh-gujar kare), online shopping me rupaye kaise bachaye, tax kaise kam kare, koi online shopping festival chal rha hai to uski detail, credit card se kaise rupaye bachaye, travel karne waqt rupaye kaise bachaye – saste lodge me reh kar, mehnge products ke saste (aur acche) alternatives etc.

75. Science Blog – yahaan aap scientific concepts ko easy aur interesting tarike se explain kar skte hain. New Research, Space Science, Innovative Products, Future me use hone wali technologies ke bare me likha ja sakta hai

76. History Blog – historical figures ke upar articles, wars ki explanation, purane civilization ki details

77. Life Hack Blogs – productivity tips, Uncommon solutions to common problems, First aid box kaise banaye, bhukamp ke time khud ko kaise bachaye, barsaat me machar se bachne ke upay etc.

78. Movies Explain, Blunders – Is blog par aap complex science fiction wali movies ko explain kar sakte ho, Bollywood movies me jo galtiyan karte hain unke bare me post kar skte ho

79. Programming – Isme aap hindi me coding karna, programming languages jaise c ++ , java, php etc. sikha skte hain, hamare colleges me bahut ghatiya tarike se sikhate hain aur hindi me sikhane wala koi badhiya blog hai nahi, aapko traffic to milega hi aap bahut logo ka career bhi bana denge. Isse jyada satisfaction aur kis kaam milega?

80. Easy maths – competition exams ke maths ke question solve karne ke liye shortcut tricks, vedic maths ke formulae – baad me isme aap apni ebook sell kar skte hain, online test series sell kar skte hain ya fir apne coaching institute ko promote kar skte hain.

81. Fight Lovers Blog - Wrestling / Boxing / Fighting Championships se related updates, news aur articles – Top 10 WWE Finishers, Top 10 Women Wrestlers in WWE, Best Fights of John Cena, Top 10 Wrestlers brutally beaten up by The Great Khali etc.

82. Internet Stars – India aur videsh ke top Internet celebrities ke upar blog likh sakte hain jo musically, youtube, blog, Instagram par famous hain. Unse judi latest news updates, gossips aur unke future plans ka update kar skte hain.

83. Events Blog – Aane wale Events ke upar updates like college festivals, kisi musician ka live concert, standup comedian ka live show aur inki ticket kahaan se buy kare etc.

84. Indian Laws – Agar aap law background se hai to aapke liye sabse badhiya ye topic rhega jahaan aap kanoon ke niyam ko saral shabdo me samjhayenge. Topics – Consumer complaint kaise kare, online harassment ki complain kaise kare, property lene waqt kin laws ka dhyaan rkhe, online fraud ki complain kaise kare etc.

85. Current Affairs & General Knowledge – Aaj Kal har exam me current affairs ya general knowledge to pucha jata hi hain, even interview me current affairs ke prashn kiye jate hain, aise me GK blog par bahut jyada traffic kam time me mil sakta hai. Is par aap Quiz shows ke answer bhi daal sakte hain jaise KBC seasons ke dauraan jo pucha jata hai.

86. Apple Products Blog - Iphone, Ipad, MacOS etc. ke upar tricks and tips, latest updates wala blog. Iphone ka craze to apko pata hi hai kitna hota hai, traffic bhi bahut hoga in blogs par.

87. Group Discussion/ Essays – GD topics le kar uske upar dono taraf se points likh kar aap interview ki preparation karne walo ke liye ek bahut accha blog bana skte ho. News channels par aksar koi na koi debate aati hai, un topics ko aap apne blog par daal skte ho, kuch important points ke saath.

88. Dog & pet Blog – aaj kal me dekh rha hu dheere dheere paltu kutte rkhne ka trend badh rha hai aise me agar aapke paas bhi ek paltu kutta hai to aap is blog ki badi aasani se maintain kar payenge. Kuch topics jin par aap likh sakte hain – Puppy diet requirement, is pedigree good for your dog – review post, apne kutte ko kitne time par nehlaye, vaccination and deworming schedule for your dogs etc.

89. Freelancing – Freelance site ka review, best website for freelance writer, freelancing ka rate kaise badhaye, freelance job kaise paye, freelancing sites par apna reviews aur ratings kaise badhaye, client satisfaction kaise de freelancing karte time etc.

90. Magic Tricks – Simple jadu ke tricks jo log ghar par kar skte hain, jaise card tricks, number games etc.

91. Scholarship Updates – kaunsi university, ngo ya company scholarship de rhi hai uski puri details, kaise apply karna hai, kya eligibility hai etc.

92. College/University Notes & Assignments – iske liye apko alag alag forums aur blogs se notes compile karna hoga aur apne blog par dalna hoga. Example – IGNOU notes, Delhi SOL Notes etc. In blogs par hadd se jyada traffic aata hai

93. Real Estate – Rehne ke liye plots, flats kahaan kharide, Commercial property me kaise invest kare, kaun kaunse documents bharne padte hain, alag alag state me kya rules hai, Property kharidte time kin batonka dhyaan rkhe, property dealer se property ka daam kaise negotiate kare, naye projects ke bare me jaankari, naye ghar ke liye vastu Shastra tips etc.

94. Online Sellers Blog – apna samaan online kaise beche, amazon par sellar kaise bane, flipkart par seller kaise bane, paytm par seller kaise bane, shopify bs shopmatic in india, thok ka maal kahaan se kharide, kaunse company se product shipping karaye, product ki online marketing kaise kare, discount aur coupon ka use karke kaise sale badhaye etc. – online selling karne wale logo ki har problems ka samadhaan yahaan kar skte he aap apne articles se.

95. Web Series Review – Netflix, Amazon Prime, Viu, Hotstar aur youtube par aane wale shows/web series ka review kar skte hain, aaj kal iska bahut craze badh rha hai aur traffic bhi bahut aasani se mil jayega.

96. MLM Reviews & Tips – Desh me aaj 1000 se jyada Multi-Level Marketing/Direct Selling wali companies ho gayi hain, join karne ke pehle log pehle us company ko google par search karte hain ki kaisi company hai – agar aapne har ek company ka pura detail daal dia – kaise join karna hai, kitna rupaye lete hain, kitna kama skte hain, earning scheme kya hai (pyramid structure hai ya 2 leg chalane hain), kaun kaun se products hain, user review kya hai etc. to aapko jitna traffic milega uska aap andaaja bhi nahi laga skte, upar se aap galat aur fraud company ko expose karke bahut logo ke rupaye bhi bachayenge – wo satisfaction lakho rupaye se badh kar hai. Is blog par aap in mlm companies se jude logo ka interview bhi le sakte hain, apne koi acchi company join ki hai to usko promote kar skte ho, apne under jyada se jyada logo ko kaise jodein uske upar tips aur advice de sakte hain.

97. Important Days Blog – Duniya bhar me jo bhi important days aur holidays hote hain unki details. Jaise January 10 – World Hindi Day, Sept 15 – Engineers day inke upar details ki kyun manaya jata hai shuruat kahaan se hui kab hui etc. iske saath hi ek history ka compilation bhi kar skte hain like ‘today in history’ [Aaj ka itihaas] aur daywise important historical events ko compile karke daily ek naya post bana skte hain.

98. Software Reviews & Tutorials Blog – best software to download youtube videos, best audio editing software for windows – free & paid (download link bas free wale ka dena), paid wale ka doge to legal issue aa sakta hai aur ads disable ho sakte hain. Is blog par aap tutorial bhi daal sakte ho jaise – how to edit audio using audacity, how to convert .mobi to .epub using calibre software

99. Excel Tutorials – MS excel aisi chij hai jise jitna sikho kam hai aur IT/Commerce Field me har insaan ko aani chahiye par iska koi simple hindi bhasha me samjhane wala blog nahi hai. Ispe kaam kar ke acchi traffic generate ki ja sakti hai, India me English me excel par blog bana kar ek blogger to crorepati bhi ban chukka hai. Bahut demand rhti hai excel ke upar tricks, for98. Software Reviews & Tutorials Blog – best software to download youtube videos, best audio editing software for windows – free & paid (download link bas free wale ka dena), paid wale ka doge to legal issue aa sakta hai aur ads disable ho sakte hain. Is blog par aap tutorial bhi daal sakte ho jaise – how to edit audio using audacity, how to convert .mobi to .epub using calibre software

99. Excel Tutorials – MS excel aisi chij hai jise jitna sikho kam hai aur IT/Commerce Field me har insaan ko aani chahiye par iska koi simple hindi bhasha me samjhane wala blog nahi hai. Ispe kaam kar ke acchi traffic generate ki ja sakti hai, India me English me excel par blog bana kar ek blogger to crorepati bhi ban chukka hai. Bahut demand rhti hai excel ke upar tricks, formula aur charts ki.mula aur charts ki.

100. Comics & Anime Blog – isme aap alag alag comic Superhero, Anime/Manga Shows aur superheroes par aane wali movies ki details post kar skte ho. India me aisa koi blog nahi hai aur agar apka isme interest hai to aap ek acchi khaasi fan following bana skte ho aur loyal traffic generate kar skte ho.

101. Website Review/Suggestions – website to download free images, website to download facebook videos, website to convert pdf to doc online, website to download youtube videos, best websites when you are bored etc.

Movie/Song/Software Download Links wali website par traffic to bahut aata hai, par aise blogs par google adsense disable ho jata hai aur risk bahut hai (legal risk) isiliye better hai aise blogs na banaye aur isiliye maine use is list me include nahi kia hai.

Bahut se youtube channel aur blogs par aapko ye bhi salah di gayi hogi ki blogging aur digital marketing ke upar blog bana le.

Par jo pehli baar blog shuru kar rha hai, me use recommend nahi karta ki wo in topics par kaam kare kyunki

- Yahaan already bahut professional bloggers hain aur bahut competition hai aur is wajah se rupaye kamane me jyada time lagega.

- Me chahta hu aap jald se jald rupaye kamao un topics par likh kar jahaan competition kam hai



Thank You